
Blog me Ads Dalke Online Kamane Ke Liye kai Advertiser Website Hai. Ye hame Ads bhi De Deti hai. Lekin Encome Achchhi Nahi Aati . online Advertising Se kamai Ke Liye Google Ka Adsense Sabse Badhiya Way hai. Wo hame Ads Deta hai. ham Ads Blog Website me Lagate Hai, Aur Per Click, Impression Se Adsense Hame Earning Deta hai. Ye Hai Adsense Ki Basic Jankari.
Sabhi Friends Blog Banakar Sabse Pahle ye Sochata hai Ki Kab Milega Adsense Approval ? Aap hard Work Karke Blog banate Hai, Aur Adsense Approval Na mile To ? Ham despair Ho jate hai. Lekin Galti Hamari Hi Hoti hai. Adsense Account Approval Hona Blogger Ke Liye Sabse Impotent Bat Hai. Adsense Apply Karne ke Sahi Time Ka Intazar karna Chahiye. Ham Kya Karte hai ? 4 -5 Post Publish kardi, Sosial Media pe Share ki. 2 – 4 Din 500-1000 page View Mil gaye Aur hamne Man Liya Ki hamara blog Chal Gaya. Adsense Approval Mil Jayega. Bahiya Aisa nahi Hota Hai. ye Google Ka Adsense hai. Aapki Site Ke Sabhi Data Ko Research karta hai. Koi bhi Kami Nahi Chhodata Hai. Adsense Ke rules bahut hard Hai. In Sabme Se Nikalne Ke Bad me Approval Milta hai. Adsense Apply karne Me koi jaldbaji na kare.
Sabse pahle Ek bat janlo Ki Upar maine Jo Saval Kiye hai Us Saval Ke javab kabhi google Adsense ne nahi Diye Hai. ha Adsense Policy me In Bato ka indirectly Jikra Kiya gaya Hai. Isliye Koi Aapko Bataye Ki Itani Post Honi Chahiye, itane Pageview Hone Chahiye To Ye Sirf Ek estimation (Andaj) hai . Are Yaar..!! Maine To Ek Blog Aisa Bhi Dekha Tha Jisame 200 Word Ki Ek Hi Post Thi Aur Wo Bhi Copyright , Bhir Bhi Ise Adsense Approved Mil gaya tha…!!! It will be lucky …!! Ho gai Hogi galti…. !? Lekin Sabhi Blog Ke Liye ye hona Sambav Nahi Hai.
Mai Aapko Kuchh Impotent Points Bataunga Jo Adsense Approved Ke Liye Sabse Badhiya mana Jayega. Agar Aapne is Points Ko Dyan Me rakhke Work Kiya Hai To Beshak Aapka Adsense Account Approved Ho Jayega.
Adsense Apply Kane se Pahle ::
Point : 1 : Blog Content :
Blog Website me Aap Jo Publish Karte Hai Wo Hi Content kahlata Hai. 80% Blog me Content Dusere Blog se Copy Kiya Hua Hota hai. Ye to mai Aur Aap Sab Jante hai. Adsense Approved na hone Ki Sabase badi Vajah Copy Content hai. Aapki Kisi Ek Post Ki 2 -3 Line Ko Copy karke Google Me Search Kare … Kitane Result mile ? Aapko pata Lag jayega Ki Hamara Post Content Kitana Copy hai ya Kitana unique Hai.
- Minimum 2000 Se Jyada Characters ( word ) Wali Post Honi Chahiye.
- 10 Se 15+ Post Aapke blog me Honi Chahiye.
- Content Aur Images Dono Copyright nahi Honi Chahiye.
- blog Aur Post Title unique, Popular Word Ka Hona Chahiye.
- Content Me Auto Downloading Hone Wali Link, Copyright Materials Wali Site pe Visitor Ko Bhejne Wali Link – Url Nahi honi Chahiye.
- Logo (visitor) Ke Itrest Ka Usefull Content Hona Jaruri Hai.
- Jyada Jankari Ke Liye Ye padhe : Blog – Website ka Content – Subject Kaisa Hona Chahiye?
Point :2 : bog – Website Traffic
Traffic Yani Blog ke Visitor Aur Page-view. kai New Blogger Visitor Ko pageview Man Lete Hai. Aur Isake Hisab se Adsense Me Apply kar Dete Hai. Natija Ye Hota Hai Ki Dusare Din disapproved Ka Massages Aa Jata Hai. Example : Mere Aaj Ke Abtak Ke Page View 400 hai. Lekin Isake Visitor 82 Hai. matlab Mere Blog Pe 82 Log Aaj Aaye Hai, 1 Visitor ne Andajit 5 Page View Kiye Hai. 400 Ki Sankhya Ko Dekhke Mai Adsense Apply Kar Do to Adsense Approves nahi Hoga.
- Ye Bhi Padhe : Blog Website Ki Traffic Visitor Kaise Chack Kare ?
- Adsense Ke Liye 60% Visitor Search Engine Se Aane Chahiye.
- Per Day traffic 1000 + page View, 300+ Visitor hone Chahiye.
- Kahi Se Kharida hua ( Pay Karke ) traffic Lana Adsense Ko Valid Nahi hai.
- Copy Right File Host karnewali Site Se Traffic Nahi Chalega. Exa : Mp3 Songs, Video, Software etc.
Usefull : Blog Aur Website Ki Traffic Visitor Badhane Ki Tips…
Friends Ye 2 points Adsense Approved ke Liye Sabase Impotent hai.
Agar Ye Aapne Sahi kiya hai To Aapke Blog ka Bounce Rate Achchaa hi Hoga. yani Visitor Aapka Article Padhne ke liye Jyada Vakt Aapke blog Pe rahta Hoga. Traffic Rank Bhi Badhiya ho jayegi.
Point : 3 : Blog Design And Additing
- Blog Website Ka Design, Template, Theme Simple, Asani Se Sabkuchh Visitor Ko Mil Jana Chahiye.
- About Me, Contact, Disclaimer-Privacy Policy, Error Ka Page Add Hona Jaruri Hai.
- Blog Site Ko Google , Bing , Yahoo Search Engine Me Submit Kare. SiteMap Bhi Submit Kare.
- Blog Ke Liye Top Lavel Domain-TLD (.com, .in, .Net. etc.) Ka Istemal Kare.
- TLD Ke Bina Blog ke Liye 6 Month (India Ke Liye )Ke Bad Apply Kare.
Adsense Approved Nahi hua ? : Bidvertiser Account Banaye Aur Blog Website Ads ke Liye
Owner Friends ,Yadi Aapne maine Adsense Approval Ke liye bataya Wo Sabhi Blog Website Me Follow Kiya Hai To Aap Adsense Ke Liye Apply Kar Sakate Hai. Nahi Kiya Hai To Aaj Fir Se Shuru Kar Do Ek Badhiya Blog Banado. Adsense Approval Ho Jayega. Whatsapp Se Apne blog ke Liye Aap koi Special Tips Chahte Hai To Hame ” HindiHelpGuru ” Likhke MSG Kare .
Whatsapp Mobile Number : 9998447938. ( Only MSg Allowd No Call.)
Aapko ye Article Kaisa Laga, Hame Comment karke Bataye. Aapke Blogger Friends Ko Bhi Share Kare, Usaki Bhi Help Kare.
kya ye jaruri hain ki adsense 6 month baad hi approve hoga india mein.
aisa bilkul bhi jaruri nahi hai ravi ji . mera blog bas 6 din baad hi approve ho gaya tha . bas uske liye ek tarika hota hai . aap hamari ye post padhe http://gajabhindi.in/google-adsense-ko-samjhe-apke-liye-opportunity/ . is post ko padhne ke baad aap adsense ke baare me samajh jaynge
Ye Jaruri Nahi hai Ki Adsense Account 6 Month Hone ke bad Approve Ho . Aap Custom Domain Use Karke Approvel Pa sakate Hai.
bhai aapka ka template hai plz btao..
or ye kaya coustom domin ka matlv.
Ye ribbon theme hai. Custom domain ka matlab blogspot.com aur wordpress. Com ki jagah koi aur tdl domain use karna
SIR CUSTOM DOMAIN KO KITNA WAQT LAGEGA ..AUR AAP BATA SAKTE H KYA MERE WEB SITE KO DEKH KAR KYA KYA KAMI H I’M NEW IN BLOGGER
Costum domain use kare to Adsense approval aapke blog content aur traffic pe depend karega.
sir mene aapka ye artical padh lea hai or iske hisab se mene sab kuch kr lea haihttp://maddyfeed.com/ pr kya aap ek bar dhek kr bta sakte hain koi galti toh ni hai or kya me ab adsence k lea apply kr du….
ab sab kuchh sahi ho gaya hai. seo pe focus kare.
1 week pahle mene apne blog ko adsense ke liye submit kiya tha par abhi tak approval nhi mila aur na hi google se koi mail aayi hai. Application approve ho gyi h or ad bhi lga di h jo abhi tak blank hai. Kya aap help kar sakte h.
Aap wait kare. Account redy ho gaya hai aur blog ko abtak approval nahi mila hai. Adsense account ko open kijiye aapke account ki kya prosses hai wo notification me dekh sakte hai.
Sir mene apni wabsite http://www.shayarihub.com ko AdSense ke liye apply kiya to ye msg aaya please batao me kya keru..?
It’s important for sites displaying Google ads to offer significant value to the user. As a publisher, you must provide unique and relevant content that gives users a reason to visit your site first
Don’t place ads on auto-generated pages or pages with little to no original content.
Your site should also provide a good user experience through clear navigation and organisation. Users should be able to click through your pages easily and find the information that they’re seeking.
Farhan Ji, aapko adsense ke liye abhi waite karna chahiye tha. aap kuchh unique post ko add kare.
to ab me kya keru vo batao or ek baar mera blog dhikh lo
abhi aapke blog me bahot kuchh karna baki hai. aap ye post padhe : adsense apply karne se pahle.
Air mera blog ek bar chek karke bataye koi kami to nahi hai
Adsense approved nahi ho raha.
Search engine se organic traffic Badhane Ka Prayas Kare. New Latest Subject pe Post Submit kare.
sir blog 6 month honeke baad Aagar mene ek DOMAIN liya to kya fir 6 month hone ke bad adsence Apply karu
Domain Add karne Ke Bad Aapko 6 Month intzar Nahi Karna Hai. Aaj Hi apply Kar Do.
thanx for give me blogger information & advise to how to dou it
very informative /…Thanx @@
Sir Maine bhi ek blog banaya hua hai kya ap check karke bta skte hai ki koi kami hai ya theme template sahi hai ya nahi i am new blogger plzzz sir…
ok, check kiya, Copy – Paste Karke Kuchh Hasil Nahi Hoga.
thanks for sharing
Sir..
Aagar aj post upload kiya or kal ads approval chahiye to milenga kya
nahi milega..
Sir mera blog adsense ke liye Approve hoga ki nahi jara check karke batiye plz. http://www.allmehindihelp.com/
traffic badhane ka prayas karo. dusare blogger ne jo post likhi hai wo hi aapane likhi hai. kuchh unique post likho.