Online Kamai ke tariko me YouTube videos se earning karne ka tarika bhi best ban gaya hai. aap apane videos ko you tube pe Upload karke kamai bhi kar sakte hai.Youtube Duniya Ki Sabse Badi Video Site Hai. Youtube Ke Duniya Bhar Me Crodo user Hai Aur Vo Crodo User Youtube Me Video Share Karte Hain (Youtube Se Paise bhi Kamate Hai) Aur Youtube Video Ko Dekhate Hain. isake liye aapke youtube account ko adsense se jodna padta hai. youtubeko adsense se conect karna padta hai. youtube videos ko monetize karna padta hai. lakho log youtube se paise kama bhi rahe hai. bahut se log to crodo tak kamate hai. youtube se kamayi karna koi muskil kam nahi hai. aap bhi youtube par video upload kar ke paisa kama sakte hai. is Article me mai aapko YouTube video Monetize karna. Youtube video ko adsense se conect karne ka tarika batane ja raha hu.

Youtube Se Earning karne ke Liye Aapko 3 Step me Kam Karna Padta Hai.
1. Youtube me Apane video ko Upload karna.
2. Youtube Videos Monetize karna.
3. Youtube Videos Ko Adsense Account se Jodana.
1. YouTube Videos Ko Upload kaise kare. ?
sabse pahle aapko kuchh 4-6 videos jo copyright naho aise youtube pe Upload karne padenge. maine Pichali post me Youtube videos ko Upload kaise kare isake bare me bata diya hai to mai fir ye nahi bata raha . agar aapne videos upload kar diye hai to aage badhe , agar nahi kiye hai to pichali post ko follow karke Youtube pe Videos Ko Upload kare.
2. Youtube Video Monetize Kaise kare ?
Step 1:
1. Sabse pahle www.youtube.com website par jaye.
2. apne gmail account se log in kare.
Step 2 :
agale step me aapke account ko open karna hai.

- Yuotube ke samne wale icon – menu option par click kare.
- bad me My Channel par click kare.
- Video Manager par click kare.
Video manager pe cliick karne pe Aapke channel ke upload kiye sabhi videos aapko dikhai denge.
Ab Aapko Dekhna ye hai Ki Aapne pahle kabhi YouTube Video Monetize Enable nahi kiya hai na. Agar Aap pahli bar YouTube Video Monetize kar rahe ye To Aapke Videos Ke samne Iska Button Show nahi honga. is tarh…

2. YouTube Videos Monetize Enable kaise kare ?
Step : 3
- ab aap apne account ke Channel option par click kare
- Monetisation ke samne Enable par click kare.

Step 4:
Step 5 :
Enable My account ke Button pe click karne pe popup page open hoga.

- youtube poolicy ko pad kar 1 , 2 or 3 sabhi par tick kar de.
- I accept par click kar de.
ab ek New popup Vindows open hogi. usme Monetize par click kare isake bare me padh sakte hai. fir Go it par click kare.

aap jaise hi Go it par click karenge to aap direct apne account ke video manager wali window me pahuch jayenge. yaha par aap dekhenge ke aapki video ke samne dollar ka blue nishan hai. iska matlab aapka video monetize ho gaya hai.
Note : Agar Aapka Videos Copyright hai to isake samne Aap Dollar ka Icon nahi dikh sakte , matlab aap is videos se kamai nahi kar sakte.
lekin abhi aapke videos pe ads dikhai degi isake aapki earning nahi hogi kyuki aapne abhi tak youtube video monitize kiye hai, adsense se jodna abhi baki hai.
3. Youtube video ko adsense se kaise jode ?
Aapke youtube video monetize ho gaye hai to ab ise adsense se conect karna hai, videos ko adsense jodne ke liye aapke pas adsense account chahiye . agar aapke pas adsense account nahi hai to aap jab youtube ko adsense se connect karoge to aapka hosted adsense account ban jayega. jis par aap sirf youtube par ads dikha sakte ho. bad me Aap koi blog banate hai to is adsense account ko blog se conect karke fully approval adsense account ban jayega aur aap apane sabhi blog aur website pe ads code laga sakte hai.
- YouTube Se Videos Download Karne Ke Sabhi Option
- India Ke Top 5 Smartphone Aap yaha se Kharid Sakte hai.
Step : 5
Youtube ko Adsense se jodne ke liye ye step follow kare .
- Ab fir se apne Account me Channel selection par jaye.
- monetize option ke samne View monetisation settings par click kare.

Note : Agar Aapne pahle se Adsense Account bana liya hai to Directly aapka videos Adsense se Conect ho jayega. agar nahi hai to Aapko adsense Account banae ka Process karna padega.
- How will i be paid? par click kare.
- fir associate an Adsense Account par click kare.
- ab Next button par click kare.

ab jo window khule usme Sign in par click kare.
- apni bhasha select kare.
- Continue button par click kare.

ab aapke samne adsense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek process aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko adsense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.ab aap mere Article pe Pahunch jaye :: Is article Ke Step ko Follow Karke Adsense Account Bana Lijiye .
last me Jab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to aap wapis apne youtube account par pahuch jaoge. ab aapke samne aysi window khulegi.

ye MSG dekhe to samj le ki aapka youtube account adsense account se jud chuka hai. ab aapko achhi earning ke liye naye naye videos upload karne hai. upload kiye videos ko jyada se jyada share karke jyada view pane ki koshis kare, kyu ki videos se earning ke liye videos pe jyada view aane jaruri hai.
Friends,is tarah ham YouTube Video Monetize karke Adsense Se Conect karke Achhi Kamai Kar Sakte Hai. Is prossece me Agar Aapko Koi Diggat Aaye To Comment karke Hame Bataye . ham Aapki Help Ke liye Taiyar hai.
Achi jankari hai bhai
sir jab mai youtube ko adsense se jodta hu to adsense me sign in karne ke baad website or language select krne ke bad jab continue par click krte hai to kuch bhi nhi aata.
nitinji , Aapke youtube account ka fir se step by step review kare. kahi to aapne galti ki hai. aapne pahle kabhi adsense ke liye appy karne ka try nahi kiya hai na ? email me adsense ke koi mail ho to check kare.
1.Sir maine 8 video uplod ki thi montije karne par 2 videos par $ ka nishan nahi aya to sir maine 2 videos ko delete kar diya.agar sir mein delete na karu video ko to mera account ban ho jayega. 2.sip mein apni video ko friends ko send karke unko share karne ke liye keh sakta hu.
Delete karne pe koi problem nahi hai, bar bar copyright videos pe monetize na kiya karo. Share kar sakte hai.
1.Sir video ko share karne ke liye mujhe video ka link kaha se milega solution sir.
1. hello rameshji, Jab Aap Youtube Pe Videos publish karte hai tab Aapko Social media me share karne ka Option Milta hai Sath hi Aapke videos ki Link Bhi milti hai. ise copy karke share kare.
2. aapke videos ko youtube pe play kare. browser address bar me jo link dikhai de ise Copy karke share kare. ok.
Sir aapka bahut bahut dhanyawad meri help karne ka mein apka bahut abhari hu. 1..sir apko kon sa work pasand hai youtube ki bloging ka..2..sir youtube id block hone ke karan bataye.3.bloging id ban hone ke karan btaye..4.sir paise kisme jyada hai youtube ki bloging mein.5.sir jaise maine ek blog banaya usme mein tarah tarah ki bloging karu ki sabhi tarah ki jankara 1 blog mein daal sakta hu.
Ramesh ji ye rahe aapke saval ke javab.
1.user useful blogging
2. Copyright ya gmail problem
3. Hack gmail account aur blog
4. Blogging se
5. Aapko jo interesting lage. Do no sahi hai.
1.sir youtube ko kaise proof kare ki copyright video nahi hai yeh video hamare duara banayi hui hai.solution sir..2..sir copyright ,gmail problem dono ke bare mein bata do..3..sir kitni video copyright hone par acount ban ho jata hai.4..hack gmail acount aur blog full solution bataye.
1. ye form Submit kare >
2. gmail account me kuchh copyright nahi hota
3. Absolutely nahi.
4. — ??
Sir bloging mein kon si cheez copyright mani jati hai.
Blog me kisi ko content, images, videos, ko copy nana jata hai.
1.Sir mobile se maine video ke link ko save kar liya hai.save karne ke baad save link mujhe kis jagah milegi.2..sir aap ne youtube ki itni sari jankari kaha se mili kya apne koi course kiya hai iska.3..sir meri 8 videos ke paise mil jayegay man lo mera acount kisi karan agar ban ho gaya to
1. save link ko aap kahi bhi paste kar sakte hai.kai mobile me clipboard me save hoti hai.
2. no, only experience..
3. ban hone pe kuchh nahi milega.
1.Sir hum bloging har tarah ki knowledge jaise mobile repair,khana kaise banaye, tarah tarah ki kahani stories , rang kaise gora kare, sehat kaise banaye, khansi ke ramban ilaj tarah tarah bloging ek hi site mein kar sakte hai. 2..bloging karne mein koi pesa lagta hai..3..youtube ki video ki tarah bloging ke link ko bhi share karna padta hai dosto ko..4..sir bloging mein bhi 1000 page views ke 1$ hai .
ye Post Padhe : India Ke Liye top 10 blog topic Contect me : whatsapp to More help Online
1.Sir aap apni ads ko change karte ho,jab bhi mein apke site open karta hu to ads mujhe change milte hai.2..sir mein all bloging mobile se kar sakta hu koi dikkat to nahi.
no problem
Sir aap ads change karte ho ki automatic change hote hai
Automatecly ..
Sir facebook ki new id banane ke liye koi bhi mobile no add kar sakte hai
koi bhi nahi. only jo aap use karte hai.
Kya mea adult video se b earning kr skta gu… Like only kiss and all… Ky ispr youtube paise dege?????…. 9166660438
Yes. Possible but adsense se nahi kar sakte.
Sir give your contact numner…
Agr adsenc se nhi kr skte to kyse kr kr skte h …. Can you please explaine
maine about me diya hai.
1.Sir twiter ke fayde batao. 2..twitter acount kaise banate hai.
Ramesh ji, aap ye article padhe. Isame aapke dono saval ke javab hai :Twitter account kaise banaye?
1.Sir jo apne site banayi hai youtube se paise kamaye aisi same site kitne logo ne banayi hai.kya ye copyright nahi mani jayegi…2.sir jaise mare youtube mein 100$ kama liye, tab mein adsence apply kar payment ke liye, payment to miljaye gi…3..sir video editing ke liye hum koi bhi software use kar sakte hai.
Ramesh ji,
1. same site nahi, but same article honge. isame title content alag hoga. ( no Copyright)
2. payment mil jayegi.
3. use kar sakte hai.
Sir kisi ki bloging ki jankari ko hum video bana kar uplod kar sakte h..2..hamare video par hamey kitne qlicks mile hai kaise pata kare…3..sir adsence ka mostly reason kya hai ban hone ka.
1.Kar sakte hai, but use puchhe bina nahi.
2.adsense me report dekho.
3. content problem.
Sir help karne ka bahut bahut dhanyawad, sir maine pehle bhi 2 youtube id banayi thi dono id meri kisi karan ban ho gai isley mein har step puch puch kar rakhuga isi tarah aap meri help karna taki mein agey badh saku thanks sir…..1..sir mein ek website banakar tarah tarah ki jankari de sakta hu ki ek hi topic par jankari du. Kon sa sucess hai…2…sir hum kisi ke bare kahani sunakar video uplod kar sakte h…3…sir aap pc mein work karte ho ki mobile mein blog ka.
Ramesh ji,
1.aap phle koi ek hi topic pe blogging kare.bad me dusare subject add kar sakenge.
2. Upload kar sakte hai.
3. Pc me.
Thanks sir’ hum ek gmail acount se youtube mein multiple chanel banakar, tarah tarah ki video har ek chanel mein dal sakte hai, yeh isley taki agar ek chanel hamara kisi karan ban ho gaya to dusra to start hai..aise ho sakta hai aap jankari de iske bare mein.
kar Sakte hai but, adsnse sabhi chanel ko ban kar sakta hai.
1..Sir apne pehli kabhi bhi youtube mein work kiya tha..2..sir wordpress thik hai ki blog…3..sir jaise maine site banayi aur maine post abhi tak 1 bhi nahi kiya baad mein koi problem to nahi.. 4..sir kai lago ki same 2 site bani hui hai kahi yeh to nahi kahi pehli wali site block ho gai ho ..
rameshji, ye Rahe Aapke Saval ke javab.
1. kiya tha.karta hu.
2. wordpress
3.4. No problem
1.Sir jaise maine ek sim se 5 gmail id ek hi naam se banayi to ip adress alag alag hongay..2..sir jaise mera sim meri id se hai aur friends ka sim uski id se hai aur hum dono ek hi jagah par baithkar net use kar rahe hai, to sir google kya scan kar ke batata hai location same hogi, ip adress aur kya kya hoga, details answer
Aisi Koi problem nahi aayegi.,but, adsense, google apps developer, admob, jaisi google services use karenge tab problem ho sakti hai.
Sir mujhe apka jawab samajh nahi aya detail se bataye
ramesh ji, fb Page pe msg kare.
1.Sir hum youtube aur blogs ka work karne ke liye ek adsence use kare ki alag alag aur kya hum alag alag adsence use kar sakte hai..2..sir hum complete blog banakar usko design karke a to z sara work karke phir new post ko send kar sakte hai ki pehle post karna jaruri hai..3..sir ip adress kisme hota hai sim, net, mobile mein ki kisi aur mein..
ramesh ji,
1. ek hi address, mobile number se nahi use kar sakte hai.
2. pahle kuchh post add karoge tab sab setup ho sakega,
3.sabhi internet user ka ip hota hai.
sir jab mai youtube ko adsense se jodta hu to adsense me sign in karne ke baad website or language select krne ke bad jab continue par click krte hai to kuch bhi nhi aata.he
Gaurav Ji, Aapka adsense Account me koi problem hai. adsense youtube policy ko ek bar padh le.
Sir hosting expire hone par hamari sites show nahi hoti details se bataye.
Sir video copyright ho jati hai to 1 strike 6 months ki hoti hai isma means samjjaye strike ka.
ramesh ji, 1, hosting plan expire ho jane pe site bandh ho jati hai.
2.i paya.
Sir apki 2 sites hai hindihelpguru ki ek site mein youtube se paise kaise kmaye aur dusri site par mobile number ki location ke bare mein aur aapki ek hi naam par kitni sites hai bataye
ramesh ji, ye meri do site hai. ek .in se hai aur dusari .com domain se.
very nice jankari hai
information badhya hai ……. mere ek video me strike agaya hai kya mera youtube ban hojayega?
Pappu ji, Koi problem Nahi, next Time Dhyan rakhna.
Hello.sir mera naam ashwani caudhary hai sir maine youtube pe video dala hai jiska tittle hai comedy or mimicry you juje this jo ki 27 second ka hai sir is video me maine nana patekar ji mimicry ki hai unke achha lagta hai pe comedy sir.mera sawal yeh ki maine apne video mentionize to kar diya hai jiske ki mere videos pe buffering kar ke to anr laga hai kintu mai use adsence ke sath nahi jod pa raha hoon jab how will i paid par click karta hu to associate an adsence account ata hai jan main uspe jakar click karta hoon to age ka step khulta hai jis par next likha hota hai jab mai next ki button par click karta hoon to uske aage ka page nahi khulta hai sir mai aur kaise apne videos ko adsence ke sath jode sakte hoon jisse mujhe income hone lage.
Ashwani ji, aap adsense policy ko padh lo shayad aap ise miss kar rahe hai to adsense account nahi ban pa raha hai.
yeh post youtube se kamane ke tareeke ka bada achcha hai jaankari se hame laabhi hua
Sir aap ne kaha ki blog par 2500pageviews hone chaiye tabhi adsence conect hoga..agar isse kam hai to adsence conect nahi hoga
Ramesh Ji, Kai Bar Isase kam Hone pe Bhi adsense Approval ho jata hai. ye aapke content pe depend karta hai.
hello kiran mera adsense account bana huya hai lekin ab mai ek blog banana chata hu to kya wahi adsense account us blog mai laga sakta hu agar ha to kaise?
yes, bro. aap wo hi email se blog banao.. isme blog earning ka option hota hai. vaha se aap adsense add kar sakte hai.
Sir agar mere per day 100 pageviews ho jaye to sir mahine ki 3000 page views ho jaye to sir kuch to paise mujhe milegay ki nahi.
yes , Ramesh Ji, Milenge.
1.Sir jaise maine apne blog me kuch samjhana hai to iske liye images kaha se load karu taki wo copyright na ho..2..sir apne blog par photo kaise lagai.
Ramesh Ji,
1.Aap Blog Ke Liye kai Free images ( CC0 ) Website hai waha se images le sakte hai.
2. Ye padhe : blog me Apani Photo : about me widget se lagaye
Sir jaise maine ek email id se youtube ka work kiya aur usi email id se blog bhi banaya, by chance kisi reason se mera youtube ban hota hai to blog to start rahega ki yeh bhi ban ho jayega.
Ramesh Ji, aapke youtube me koi problem aata hai to isaka Iffect blog pe nahi padta hai. but agar aap youtube adsense se joda hai aur blog me bhi ye hi adsense use kar rahe hai to khtara ho sakta hai.
1..Thanksir help karne ki to sir dono blogs ka work karne ke liye 2 adsence banau ek wife ke naam se aur ek mere naam se. Alag alag sir aage jaker koi dikkat to nahi hogi..
Ramesh Ji, aisa Mat Karo, 1 adsense account rakho.
Bhot hi help full guide kiya hai aspne isse bhot visitors ko fayda hoga youtube se paisa kamane me
Sir mein 2 adsence banauga alag alag name aur adress se sir kya problem aaye gi yeh details se btaye, aapka reader
Ramesh Ji, ab Hoga Ye ki aap 1 computer network se hi dono account open karoge. kai bar adsense account 1 IP address se open hoga. adsense ko malum ho jayega ki 1 person ke hi do account hai.
Sir agar mein alag mobile ya pc, har ek new adsence ke liye use karu phir to koi problem nahi hai
ramesh ji, agar dono me ip address deference hota hai to koi problem nahi hai.
Sir ip adress alag alag ho jayegi par location to same hogi,sir iski koi problem to nahi
Ramesh Ji, U r Right . Problem Ho sakti hai. agar same location Address hai to..
hello sir mera video monetize ho chuka h pr lakh kosis krne pr v age nhi ja rha h adesnse se nhi jud rha h mera aria m net slow h kya aap madat kr skte h plz email krna
Anup Ji, aapko adsense account banane me problem ho rha hai.. please aap ek bar adsense – youtube policy ko padh le.
Sir maine youtube par videos ko uplod karne ke baad montije kar diya hai aur 1000 se jyada views bhi ho gaye hai aur blue colour ka $ ka nishaan bhi aa raha hai par revinew check karne par payment 0 show ho rahi hai aisa kyu, kya sir iske sath adsence add karna padega payment check karne ke liye solution
Ramesh Ji, youtube revenue dekhane ke liye Finalized earnings and payments me jaye. AdSense for Content host me youtube payment dikhai deha.
Maine 6se7 gmail account bna chuki hu or ek me bhi password yad nahi hai kya mai bina unsabko delete kiye hi ek or gmail account bnakar YouTube par kam kar sakte hai . Esa karne par AdSense approval ho Sakega or mujhe paisa dega please help me
reshu ji, agar aapne sabhi gmail address se adsense acount banane ka try kiya hai to aapka adsense account approve nahi hoga. sabase aphele sabhi email ko delet kar do, bad me koi ek se adsense account banao.
Sir help ke liye thanks…sir jaise aapne site bnayi hai helpguru ki name ek hi hai aur helpguru ki site aapki har jagah faili hui hai aise mujhe bhi banana hai, iske liye mujhe kya karna hoga btaye
ramesh ji, aapko css code change karne padenge. max-width ko change karna padega.
Sir change karne ka pura process btaye
ramesh ji, Muje Isake Liye Article Likhna Padega. wait .
Sir Mere android mobile ka ip adress kya hai kaha se pata kare,kis option mein ip adress dikhai deta hai.
Aap Pane mobile Browser me ” My Ip ” type karo , search karo apka IP Dikhai Dega.
Hum kam se kam kitne minutes ke video bnae ki ads hmare video par sahi se show kare.
2. Hum video me 1 minute par kitna mb rakhe ki hame Jada se Jada income bhi ho or viewer rating dekhkar bhage na blki subscribe kare.
3. Kya him 5-5 minutes par multiple ads show karwa sakte hai.
4. Kya log video dekhkar ads par click nahi bhi kar sakte hai. Esa hota hai hame btay
1. 5 to 10 minutes ka videos.
2. ye aapki videos quality pe depend karega.
3. youtube ads show settings option dekh le.
4. yes.
Sir improve this video ka mean bataye. 2. Sir video mein bilkul bhi ads show nahi ho rahe hai. All video Montije hai solution
Ramesh Ji, improve, means badhana. videos view ke bare me hai to. aur muje videos link de mai check karke bataunga.
Sir Me Wapsite Ko Adnase Se Kaise Jodu..Jise Me Paisa Ka Sakata Hu..Plz Help Sir……Jo wapsite maine Likha Hai Wo abhi google me add nahi kiye..
Kishn ji, aap Ye Padhe : adsense account kaise banaye ?
Sir Youtube earning ke liye bank account bhi chahiye…
YES, kishan ji, Youtube se kamane ke liye bank account jaruri hai.
1.This acount has been suspended contact your hosting provider for more information. Sir iska means btaye 2..sir hum apni video ka link kisi ke blog coment ya kisi bhi jagah share kar sakte hai koi problem to nahi.
1. kai bar server problem ke karna ye error aata hai.
2. Videos ka Link add kar sakte hai. copyright na ho to. isake liye aap aap nofollow link use kar.
No follow means sir btaye
ramwsh ji, Ye Padhe : nofollow links kaya hai ?
1.Sir payment pata karne ke liye adsence banana padega ki aise hi earning ka pata chal jayega..2..sir auto ads ke dekne ke paise milte hai ki ads skip karne par aur kya ads qlick par. Jawab de sir thanks
Ramesh ji.
adsense ki jarurat padegi.
2. earning ads pe depend karta hai.
Bhai mobile se absent ko kese jode trick please
Naveen Ji, PC Use kare.
1.Sir payment dekhne ke liye adsence kaise banau sir mere views abhi 650 ke karib hai..2..sir waise to link mein kisi bhi blog mein share kar sakta hu koi dikkat to nahi..
1. adsense deshboard > payment me Youtube earning ka option hota hai.
2. share kar sakte hai.
Website verification nahi ho pata he…jese hi email verify hota he uske bad language select karke….url dal kar aage process ke liye click karte hen…to process aage nahi badta he…click jis par karte he uska colour bhi halka ho jata he…blog par bhi yehi diqqat aa rahi he…aur youtube par bhi….kul mila kar bat ye he ki…adsence ke liye apply hi nahi kar pa rahe hen…approved hona nahi hona aage ki bat he..please bataye kese kya karen…ki…adsence account ke liye apply ho jaye….thanx
bro, kya aapko adsense ya youtube ka koi msg aaya hai. aapka videos adsense ke liye ready ho jane pe youtube aapko mail karta hai. bad me adsense se connect kar sakte hai.
Adsence account apply karne ke article pad pad kar thak gaye hen…internet par bhut se logo ke artical pade hen….par kahi bhi iska hal nahi mil paya he…sabhi process bata dete hen…par apply karne me hi ….jab wrbsite verification se aage kuchh nahi hota to nirasha hoti he ki….adsence ke liye apply hi nahi kar pa rahe he…pleade guide karne ka kasht karen
bro, mai aapki bat samaj sakta hu.. aap muje FB pe msg kare.
Sir qlicks mein kaise check karuga ki mujhe itni qlicks mile hain… 2…Sir ip address sim ka bhi hota hai
ramesh ji,
1. adsense reportings me dikhai deta hai.
2. yes.
1..Sir blogging ka work karne ke liye mujhe new mobile lena padega ki old se hi ho jayega
2…. Sir reminder you must link your channel to an absence account to earn money and get paid for ads on your videos , iska matlab kya hai bataye
ramesh Ji,
1. blogging ke liye laptop ya pc chahiye. mobile se blogging ho sakti hai but, bahot badhiya nahi.
2. aapke videos ko adsense se link karna hai.
sir link ko check karke bataye ki ads all videos par aa rahi hain ki nahi aur koi dikaat ho to bataye thanks
haji bhaiya show ho rahe hai..
sir m apna adsnce ka account nhi bna pa rha hu bar bar website ka option aata h aor website h nhi mere pass m kaise bnau sir
Vikas Ji, Website ke Bina To adsense account Nahi banega.
sir video me ads kaise lagaye
Bro. Article me sabkuchh bataya gaya hai.
Sir blog par ads lagane ke liye blog purana hona chaiye.. 2..apne blog par jyda se jyada kitne post send kar sakte hai
ramesh ji, agar aap adsense add ke bare me bat kar rahe hai to ye padhe : adsense apply kab kare ?
Sir hum address verify karege tabhi humko payment milegi… 2..sir you tube mein jo dikhate hai ki apni copyright video ko editing karke usko copyright hone se bachaye, sir yeh real hai ki fake bataye thanks
Ramesh Ji, adsense Account Address Verify Hone Ke bad 100$ Earning hogi tab payment karega.
Kuchha videos ko editing karke copyright se bacha ja sakta hai. sabhi videos ke liye available nahi hai.
Sir mujhe kaise pata chale ga ki mere blog ke kuch content copyright hai
Aap Google search engine me Post ka title likh ke check kare. agar same title, content hai, to copyright mana jayega.
sir maine youtube pr channel bna kr adsense se jod liya , ab m ise apne Educational blog se jodna chahte h , iske liye kya krna hoga ?
sir maine blog ar youtube channel banate samay alg alg Email id ka use kiya h ?
plz help
hariom ji, Email Ki koi Problem Nahi hogi But aap blog Domain blogspot.com nahi chalega. aap TLD Custom Domain blog me add karo.
kiran ji Domain lene ke baad kya krna hoga ? matlb youtube channel se approved adsense a/c ko blog se kaise jodenge ,,,
Domain Set karne ke bad , blogger me earning ke option se adsense ko jod dena. ya fir direct adsense me jake bhi add kar payenge.
Sir fb par screen short send kiya usko dekh kar bataye ki future mein koi problem to nahi hai bataye.. 2..kon se browser mein ads jyaada show hote hai..
Na koi Problem nahi hai. google chrome browser me
Sir mujhe mail aya hai iska matlab bataye fb par maine ek screen shot send kiya hai.. 2.sir Google par apni video link kaise share karte hain.
Aap Fir Fb pe contact kare… Screen shot bheje.
Google Pe share nahi Hoti.. Google Plus pe kar sakte hai.
Sir mujhe apne you tube ka chanel ka naam change karna hai kaise change kare.. Sir fb par maine ek screen shot send kiya hai uska jawab dena emergency..
Ok Mai Fb me Dekhke reply Karta Hu.
Sir mere youtube chenal pe ad sirf mujhe hi dikh rahe hae aur kisi ko nahi dikh rahe hae maene naya chenal banaya hae Bhargain boys karke isme 4 videos padi hae aue monetize bhi ho gai hae aur ed bhi chote aate hae yani likhe hue video bale naHi aate hae sir please mujhe batao mae kya karu jis se mae sabhi ko dikh sakun
aisa Nahi Ho Sakta aap Ek Bar ads Settings check kar Le. aur Muje Fb pe Videos Link Bheje mai Dekh Ke batata Hu.
sir kaise pta chale ga ki mera channel AdSense se connect h
Adsense Report Me dekho. ya fir youtube videos manager me videos ke samane $ ka green icon hoga.
Sir mera ek sawal hai ki.agar mein ne do video you tube pe dale or dono ke 500/500 viewer hai to muje 1$ mileng ya fir ek hi video ke 1000,viewer hone par 1$ milega
Aap Ke sabhi videos views ka counting ek sath hota hai.
Hello sir. Video pe add kitne views hone ke baad aate hai ??
aisa kuchh nahi hai. ads laga diya turant show ho jayegi.
Youtube me Adsense ads Lagane ke Liye Kitane Videos views ki Jarurat hoti hai. ?
Pahle Kuchh Limit Nahi thi But Abhi aapko sabhi Videos Me 10000+ views Chahiye.
Sir mai koi bhi bollywood song pe video banata hu to uspr copyright ka sine aa jata h or dollar ka shine show nahi karta mai kya karu
Plzz helo sir
Aap Bollywood song ko cut karke use kare. kuchh editing bhi kare.
Hello bro hamne youtube channel create kiya h aur 17 vedio bhi upload kiye h aur total vieves 10000+ h to bataiye bro kya mai ise monetize kar sakte h is par ek copyright strike bhi issue hua h kya copyright strike issue hone ke baad channel monetize kar sakte h koi problem to nhi hogi reply plz bro I’m wait
Agar Aapne Copy Right Videos Ko delete Kar diya Hai aur Views 10,000+ hai to monetize kar sakate hai. Fir se Copyright Problem Na aaye isaka Dhyan rakhe.