Blog Aur Website Banakar sabhi Owner Sochate Hai Ki Ab Blog se Online Earning Kaise Kare. Google Adsense Me Account Banate Hai, Lekin Adsense Approval Nahi Hota Hai. Blogger Ko Lagata Hai Ki Ab Ham Online Kamai Nahi Kar Payenge. Lekin Aisa Nahi Hai. adsense alternatives kai Publisher Website Hai ( jaise Bidvertiser Account )Us Me Aap Account Banakar , Website Ko Monetize Karke Kamai Kar Sakate Hai. Isame Approval Processes Bhi Easy Hota Hai.

Aaj Ham Aisi Hi ek Advertising Publisher Website Ke Bare Me Janenge Jo Adsense Jaisa Hi Work Karti Hai. Usaka Name Hai ” Bidvertiser ” .
Bidvertiser kaise Work Karta Hai ?
- Bidvertiser ka kam Adsense jaisa Hi Hai.
- clicks and conversions Se Aap Earning Kar Sakate Hai.
- Bidvertise monthly Pay Karta Hai.
- Jab Aapke Account Me only $10Ho Jate Hai To Paise PayPal Se Aapke Bank Account Me Transfer Ho Jate Hai. Isake Alava Payment Method Me Western Union – Minimum $100, Check – Minimum $100, Wire Transfer – Minimum $10 income Hone Par Payment Mil Jata Hai.
- Ads Format Ko Aap Customize Kar Sakate hai, layout Me Badlav Kar Sakate Hai.
- Bidvertise me reportings Daily Updates Hota Hai
Bidvertiser Account Kaise Banaye ?
Step : 1.
Step : 2 :
Bidvertiser Website Open Hogi . Ab ” Join Now-Its FREE ” Pe Click Kare
Ek Page/form Open Hoga Isame Aapko Sahi Details Add Karni Hai.
1. First Name Aur last Likhe.
2. Apna Mobile Number Dale.
3. Email Address Dale.
4. User name Pasand Kare Aur Likhe.
5. Password Pasand Kare Aur Dono Box Me Likhe.
6. Get Activation Code Pe Click Kare.
Ab Aapke Email Address Pe Ek Mail Aa Gaya Honga. Email Open Karke Isame Ek Code Hoga. ( Example : Your activation code is: 885245 )
7. Email Me Aaye Code Ko Likhe.
8. Term Of Servise Me Sabhi Ko √ ( Tic ) Kar De.
9. Continue Par Click Kare. ( Ab Ye Step Pura Hua )
Step : 3 :
Ab Aapko Apni Website Ki Details Dalni Hai. Aap Bidvertiser Ke Home Me Jake ” Add new BidVertiser ” Pe Click Karke Bhi ye Option Pa Sakate Hai.
1. Bidvertiser Title Likhe. ( Koi Bhi Name Likh Sakate Hai )
2. Website Ka URL Dale. ( Yahan Aapko Website Ka Url ” http://www.my site.com “Ke Sath Dalna Hai. Ab Blogspot.com, Ya WordPress.com Wala Url Kam Nahi Karta Hai. Agar Aapke PAs Blog Hai To Use Top Lavel Domein Kharidana Padega. )
3. Language ( Bhasha ) Select Kare .
4. Website Ki Category Select Karni Hai.
5. Website Ki Sub Category Select Kare.
6. Finish Ke Botton Pe Click Kare.
Ab Aapka bidvertiser Account Raddy Ho Gaya Hoga.
(Agar Aapko Account Ko Mobile Verification Ke Liye Kaha Jaye to Mobile Number Dale. Get Code Ke Click Kare. Aapke Mobile Me Code Aayega. Ise Likhe. )
Step : 4 :
Ads Code paye.
Ab Website Pe rakhne Ke Liye Ads Ka Code Chahiye. Aage Jo page Open Hoga Usime se Aap Ads Code Pa Sakenge.
1.chhoose Template : Click kare Aur Apni Website Ke Hisab Se Ads Ki size Ko Chunke update Button Pe Click Kare.
2. Preferences : Kis tarah Ki Ads Aap Dikhana Chahte Hai ,Ye Chune Aur Updates Ki Button Pe Click kare.
3. Last Me Get Ad Code Ki Button Pe Click Kare. Naya Popup Windows Khulega. Isame Code Hoga. Ise Copy Kare.
Step : 5 :
Ads Code Ko Blog Website Me Add Kare.
ye Step To Aapke Liye Simple Hoga. Fir bhi Mai bata Deta Hu.
1. Blogger Deshboard Mese Layout Pe Jaye.
2. Jahan Aapko Ads rakhni Hai vah Ke Add a Gadget Pe Click Kare.
3. Gadget Ka List Khul Jayega. Isme Se Pe Click Kare.
4. Bidvertiser Ads Ke Code Ko HTML/JavaScript Me Past Kare. ( Title me Kuchh Na Likhe, )
5. Save Kare.
Ab Aapke Blog ? website Me Bidvertiser Ki Ads Dikhai Degi. Aapke Visitor Is Ads Ko Dekhenge Aur Click Karege To Aapke Bidvertiser Account Me Paise Aane Lagenge.
Note : Maine Kai Blogger Aur Website Owner Dekhe Hai Jo Bidvertiser me Aapna Account Banane ke Bad Ek Do Din Me kahne lagate Hai. Bidvertiser Me Jyada paise nahi Aate. Lekin Mera Anubhav hai Ki bidvertiser me Jyad Earning Kuch Din Bad Suru Hota Hai. Jab Bidvertiser Apni Site / Blog Ke Content Ke Hisab Se Ads Dikhana Suru Kare.
maine bhi Bidvertiser Se Earning Kiya hai. Isaka Proof Ye raha.
Sir aapne to step me point btaye hai wo ak point bhi nahi aa raha hai
shayd Aapne Advertiser pe Click kiya hoga. hamne post me Jo link Di hai wahan se Open kare.
sir
not vierfied a raha h uske bad kya kiya jaye 4 mah ho gaya kuch
Bidvertiser ka ads code blog me dale.. Aur verify pe click karake prosses kare..
Bahot achi jankari batayi hai sir mai bhi BidVertiser ko use karta hu apne blog par sir mai ads ko ek sath sabhi post mai dikhana cahta hu to kaise dikhavu Mobile se ya Laptops se ..
Meri website logo tak kaise pahuchegi.
Matlab agar main domin na kharidu to website se earning nhi hogi kya pleaese batayie.
Mayur ji, bina domain bhi blog chalta hai. ye padhe : traffic kaise badhaye ?
sir humar account not vierfied bata hai hum uspe cilic karte hai to ek cod ata hai use dalte hai to bo ya likha ata hai Website can’t be verified – Bidvertiser Code not found
sir kya kare age badte hi nahi plz halp..
aap ne jis site ko bidvertiser me add kiya hai vohi site pe ads code lagana hai. ads code html gadget me add karna hai.
Bidvertiser ka ads code blog me dale.. Aur verify pe click karake prosses kare.. sir ye cod milega kaha se samjh me nahi ata hai sir hlp kre
vinod ji, BidVertiser Center me jake aapki website select karke, gat ads code pe click karna hai. ye code blog me add karna hai.
sir jo cod milta hai use apni mail id pe hi dalna hai jo bidvertiser
sir hum jo new blog banyege url name bohi dena padega bidvertiser me dal
ki ko bhi url namr de sakte hai
vinod ji,
1. email id me verify link aayi hai to usape click kare.
2.aapne blog banaya hai usaka link bidvertiser me add karna hai. bad me aapko code milenge.
sir humne ads code dal diya fir bhi not verified ara hai fir se sir yahi likha a raha Website can’t be verified – Bidvertiser Code not found
Please make sure the Bidvertiser Code is copied to xneyau.com and try again
vinod ji, aapka website hi open nahi ho raha hai to mai kaise dekhu.
sir blog banya hai ese chack karna tha ki sahi bana hai ki nahi aur sahi na ho to usme kuch sudhar kar sakte hai aur blog pe ads laga sakte hai ki nahi
aur blog pe ads kese lagte hai full jankari
Vinod ji, achha prayas kiya hi. aapko bahot kuchh karna baki hai. aap blog related post padhe.
sir
bidvertiser account delet kese kar full jankari
new bidvertiser account banyege halp
Vinod ji, New email use karo, New account banao.
sir bidveritiser pe acct. bana liya hai complit ho gya hai
1 post bhi dal di hai aur ads bhi so kar raha hai
bahut se ads so karna hai to kya karna padega
bidv.dusra ads lene ke liye kya karna padega full ditel. imase drora
vinod ji, add new bidvertiser me jaye. site select kare. bidvertiser unut ka title likhe aur finish kare.
bidveritser pe 4 account hai sab adhure hai agr dubra se chalu karna chahta hu
to humare 4 account chala sakta hu sabhi alag alag mail id pe bane hai lekin name sem hai vinod vishwkarma
4 accnt. chalu kar sakta hu esme koi prolam to nahi hogi halp
vinod ji, koi problem nahi kar sakte hai.
Sir, hamne naya blog banaya hai. Usme 24 posts bhi kar li hai. Lagbhag sara kaam pura ho gaya hai. Ab bas add lagake income karne ki baari hai. Ham apne abhi google adsence me apply nahi kar sakte. Lekin paiso ki problem chal rahi hai. To koi or tarika chahiye. Jisse blog me add laga sake. Hame add lagane ke liye sare platform ki jaankari chahiye. Plz help me. Google adsence, uc-union or Bidvertiser ke bare jaan gaye. Kuchh or platform ho ? To bataiye.
Juhi Ji, aap abhi adnow advertising use kar Sakte hai. but traffic bhi hona jaruri hai.
Kiran ji mera blog uc union me pehle hi approve ho gaya hai par ab mujhe blpg ka link change karna hai kya mujhe phir naye blog url se approve hona padega please help.
na uc union ki ads aap koi bhi website blog me laga sakte hai.
सर, बिडवरटाइजर का code wordpress website me, body html me kidhar daale.. kuchh bta sakte hai?
Bidvertiser ads Ka Code Body hTML me nahi add karna Padta Hai. app ads widget me add kare.
brother agar blog ka domain paid nhi hai to kya bidvister hamre blog ko verify nhi karega .. please tell me
Pahle Ho Jata Tha. Lekin Abhi Nahi karta Hai. aap Kisi Friends ka Blog Domain Lagake Verify Karwale. Bad Me remove Kar dena.