Blog Website Favicon Kya Hai ?
Aap Koi Bhi Website Ko Open Karte Hai To Browser Ki Tab /location bar Me Is Site/Blog ka Chhota Sa Logo Dikhai Deta Hai. Aapke BookMarker List Dekhe To Isame Bhi Site Ke Name Ke Aage Ye Icon Dikhai Deta Hai. History Dekhe To Bhi Ye Icon Dikhai Deta hai. Wo Hi hai Favicon. Site ka Chhota Logo-icon Yani Favicon.
Blog/website Me Favicon Add karna Aur Chane karna Saral Hai. Agar Aap favicon Ko Add ya Change karna Chahte Hai To Is Step Se Kam kare.
Favicon kaise Banaye, Kaha se Banaye ?
Aapko favicon Add/Change karne ke Liye Ek Favicon image Chahiye. Aap Khud favicon bana Sakate Ho. Blog Ya Website Ke Liye Ek Image pasand kare. (Square □ Image Honi Chahiye, Image Size 100 KB Se Jyada na Honi Chaiye.) Ya fir Sahi Size ka Favicon Banane Wali Site Pe Chale Jaiye. jaise favicon.co.uk/ . Aap yaha 4 Size (16×16, 32×32, 48×48 ,64×64 ) ka Favicon Bana Sakate Hai. 16×16 Ya 32×32 Size Use kare. Sabhi browser Ke Liye Achchha hai.
Blogger Me Favicon Add-Change Kaise Kare ?
Blogger Ke Blog Me pahle Se Hi Ye Orange Color ka Favicon Hota Hai. Lekin Hame Ye pasand nahi hai To Change Kar Sakate Hai. taki Hamare Blog ka Look Achchha lage.
1. Sabase pahle Blogger Ke Deshboard Me Chale Jaye.
2. Layout Pe Click kare.
3. Favicon Ke Widget Se Edit pe Click kare.
Ab naya Option (windows) Khulega.
4. choose File Ke Booton Pe Click kare. Computer Me se Image Pasand karke Add kare.
5. last Me Save kare.
Ab Aapka Blog/Site Open karke Dekhe. Dekh Le Ki Favicon Open Ho Raha hai ya Nahi..?
Favicon Blogger Update Hone Me Thoda vakta lag Sakata hai. Sabra Kare. Apane Friend Ko Ye Post Shar Karke Usaki Bhi Madad Kare.