Domain Kya Hai ?
har Vyakti Ka Apna Addresss Hota Hai Jah Wo Rahta Hai. Is tarah hamari Site Ya Blog Ka Bhi Ek Address Hona Chahiye. Visitor Asani Se Dhundh Sake. Aur Wo Address Hi Domain hai. Wo Ek IP Address Se Juda Hota Hai.World Ki Sabhi Website Domain Name Se Judi Hui Hoti hai. Jab Ham Usaka Address Apne Browser Me Dalte Hai To Wo Website Open Ho Jati Hai. Domain Aapke Article Content Ka Address hai. .Com, .Net, .In, .Mobi, .Org Ye sabhi Domain Extensions hai Jo Website Ke Name Ke Sath Jude Hua hote Hai. Ye Sab Ariya , Country, Content, Company, Corporation, organization, User Sbhi Ki Maujudagi Bayun Karte Hai.Website Kon Si service Deti hai Usaka pata Chale Isliye Ye Sab Rakha Gaya Tha. Fir Bhi Sabhi Isaka Istemal karne Lage hai. Aage padhe Aap Ko Sab Malum Ho Jayega.
Com, .Net, .In, .Mobi, .Org Domain Kya Hai ?
.com : Jab Koi Company Ya Website Vyapar, Vanijya, business Se Judi Ho Aur Usaka Karya Vyaap Pure Vishv Me hoto
Usake Nam Ke Pichhe .COM ka Istemal Hota Hai. Jyadatar Log .COM Domain Name Pasand Karte Hai.
.NET : Ye Internet Shabda ka Hi Hissa Hai. Internet service providers Usaka Istemal Karte Hai. Aaj kal Sab Log Isaka Istemal Kar rahe hai. Jo Website Sidhe Internet Ki Suvidha Se Judi hai. jaise Web-hosting, Web Design, Net Data providers…..
.ORG : Jab Koi organization Logo ke Samuh Ke Sath Unki Seva Ke Liye Kam karta Ho Usake Liye Ye Domain Name Hai. non-profit organizations Ke Liye Top level domain hai.
.BIZ : Chhote business Karnewale Website Ka Domain Hai.
.MOBI : Koi Website Jyadatar Mobile me Open Hoti hai Asi Websites Ke Liye .MOBI hai.
.US : American Websites Ke Lye ye Domain Istemal Kiya Jata Hai.
.TV : Vaise To Ye Virgin Islands coutry ka Code hai. Fir Bhi multi-media Aur entertainment Ki Websites ke Liye Istemal Kiya Jata Hai.
.CC : Ye Bhi Coco country Ke Keeling Islands ka Code hai. Lekin Usaka Bhi sabhi Istemal Kar Sakate Hai. Kyuki Ye Pratibandhit Nahi Hai. India Me Bhi Kai Website .cc ka Istemal Karne Lagi Hai.
.IN : Ye India Ke Liye Ek Open Domain hai. Matlab Jo Bhi Site name Ke Pichhe .IN Hoga Wo India Ki Hogi.
.GOV : government ( Sarkari) Website Ke Liye Ye Domain Istemal Hota Hai.
.CO.IN : India Ki Commpny ke Liye hai.
.EDU : Education Ki Website Ke Liye Hai.
.PK : Pakistan Ki Website Ka Domain Extensions Hai.
Is Tarah Kai Name Hai Jo Online Internet Ke Liye Istemal Hote Hai. Jaise….” .info, .us, .asia, .eu, .am, .ag, .at, .be, .bz, .cc, .ch, .co, .com.co, .net.co, .nom.co, .cx, .cz, .de, .fm, .gs, .hn, .in, .co.in, .net.in, .org.in, .firm.in, .gen.in, .ind.in, .la, .lc, .li, .me, .mn, .mobi, .ms, .mx, .com.mx, .co.nz, .net.nz, .org.nz, .pl, .sc, .tv, .tw, .com.tw, .net.tw, .co.uk, .org.uk, .me.uk …..” ( Bahot Lanba List Hai..!!)
Kaun Sa Domain Extensions Aap Pasand karenge ?
Domain Do Prakar ke Hote hai (1) Top Level Domain (2) Second Level Domain
Agar Aap Apni Website ya Blog Ke Liye Domain Le rahe Hai Our Aap Online Paise kamana Chahte hai To Aapko Top Level Domain (TLD) Lena Chahiye. Jaise .com, .NET, .Org, .In, .Mobi,…. ye Sab Aajkal Popular hai. Yaad rakhane Me Bhi Saral hai. india Ke Search Engine Ke Liye Bhi Sahi Hai. Meri Angat ray hai Ki Aap .com Lena Pasand karege. Sath Me .In Wala Domain Bhi Le Lijiyega. Mera Anubhav hai Ki .IN Wali Site India Me Jald Search Aur Renk Me Aati hai.
Ab Aapne Domain Ke bare Me To jan Liya Hai. Agar Aap Ka Isake bare Me Koi Sawal Hoto hame Comment karke bataiyega. ham Aapki Sahayata Karne hetu Tatpar hai.
koun si wepsite se hame kam dam ki domain milegi
aap GoDaddy.com pe Jaye Vahn Se Aapko .com and .in Domein kam Prise me Mil Jayenge..ok..
sir mai apna wepsite create kiya hai kirpa ker ke is ko dhike naam hai http://www.list1to10.com
Abhi Aapko Bahut Kuchh karna baki hai.
thank you sir for giving the knowledge of domains ..
sir mujhe ye janna hai k
kya ham apne ek site k liye
2 ya fir 3 domain kharid skte hai
jaise k kbhi kabhi ye hota hai.kuch log kisi v website ko .com ya fir .in ke sath v search krte h
to agr maine domain name .com purchase kiya hai to kya tb v mere website pr succesfully pahuch skta hai
i hope sir ap mere question ko smjh rhe honge..
plz sir giving me reply as soon as possible…
thank you sir
aapne sahi kahan, aap kisi ek blog website ke liye ek se jyada domain kharid sakte hai. sabhi blogger aisa karte hai. aap .com, .in, .net, .org domain kharid sakte hai.