Agar Aap Blogger hai to Aapke Dimag me ye saval jarur aaya hoga ki Free Aur premium Blogger Template me se kaun sa template use kare ? ” whats Difference for free vs premium blogger template ? ” free blogger template kaya hai aur premium blogger template kya hai ? agar isaki jankari aapko mil jaye to aap Compare karke Decide kar sakte hai ki kaun sa template blog ke lye use kare. wordpress me sabhi premium theme use karne ki salah dete hai kyuki isaka bada reason hai ki free wordpress template me sabhi services – plug in aap use nahi kar sakte.

jab aap blogging me naye hote hai to blogger ka diya hua custom template use karte hai. lekin ye aapko aur SEO ko pasand nahi aaya hoga. lekin ye bat malum hone tak aapne ek sal gujar diya hoga. blogging se aapko kuchh nahi mila hoga. Aaj ham is article me free vs premium blogger template me kya difference hai vo janenge. kaun sa template use karne se kya hota hai vo aap puri tarah samaj sakenge.
- Also read : SEO kya hai – SEO ke fayde jane hindi me
Free blogger template :
- is Duniya me koi bhi chij free nahi milati. ha, free milati hai lekin isake pichhe ek bada business juda hota hai. free facebook, whatsapp, olx ye sab aapko free lagata hoga. likin isake pichhe ki sachchai aap janoge. to malum hoga ki ye sab hamare jariye apani kamai kar rahe hai. blog template me bhi aisa hi hai. janiye free blogger template ke sach.
- free blogger template free version hota hai. ye hame isliye milata hai ki isake jariye premiyum blogger template ki advertising ho sake.
- free blogger template old version hota hai isame sabkuch nahi milata jo premium template me milata hai.
- free template ko testing template bhi kaha jata hai. matlab jab ham koi nayi chij banate hai to isake working ki test karte hai. bad me isame kuch badlav karne ki jarurat hoto badlav karte hai. aur template provide hame fre me template dekar ye testing ka kam karvate hai.
- kai bar free template kai trah ke error codings ke sath aata hai, isase blog open nahi hona, speed kam hona, redirect hoke dusari site open hona etc. sabhi problem aate hai.
- free template code corrupt file leke bhi aate hai, isake molware problem ( auto download software ) bhi hote hai. adsense ke liye ye allows nahi hai. aapka adsense account ban ho sakata hai.
- free template me aap apani marji se kuchh Change nahi kar sakte. HTML se change kar sakte hai lekin apke pas coding ki knowledge honi jaruri hai.
- fre blogger template me footer me jo credit Link ( aapne kahase template download kiya hai us website ka name aur banane wale ka name ) ise remove nahi kar sakte . hide kar sakte hai. remove karne ka prayas karne se ” blog not found ” error aa jati hai.
- free template me jo gadget aur share button code aate hai wo kai bar aapke traffic ko dusari site pe le jate hai. spam traffic bhi bhejate hai.
- kai free template seo friendly hote hai to kai template nahi bhi hote hai. aapko seo friendly template dekhke, search karke download karna padta hai .
- free blogger template me sabhi code working nahi karte hai ya hame isaka use nahi karna hota hai to blog speed kab ho jati hai.
- useful : Blogger – Wordpess ka Template Theme Name Kaise Check Kare
free blogger benefits :
free template hame free memilata hai. isake badle hame paise nahi dene padte.
isake desigin aur look professional hota hai. hame dekhate hi pasand aa jata hai.
kai gadget free template me pahle se add kiye hote hai. hame bad me add nahi karne padte.
free template aap apani pasand ke adhar se chun sakte hai. ye mobile friendly bhi hote hai.
seo friendly template hame mil jaye to page rank aur blog traffic increasing hota hai.
Premium Blogger template :
Premium ya ni kuch paise dekar kharida gaya blog template desigin . aap kuchh paise (Cash ) kharcha kar rahe hai to isake kuchh benefits to hote hi hai. blogger premium template provde aapna business kar rahe hai. unki bhi kuchh javabdehi banti hai ki Customer achchhi services di jaye. agar aap professional bloggers hona chahte hai aur apane blog se online earning karna chahte hai to aap Premium blogger template hi use kare. isake bina aapke mony aur time ka Waste hai .
- premium blogger template hame latest version me milta hai. itana hi nai version jab updates hota hai tab ham ise updates bhi kar sakte hai.
- agar hame template me koi problem lagti hai to ham provide ki help bhi le sakte hai. wo hame help karne ke liye Bound hota hai.
- premium template SEO optimized templates hota hi, isase blog ki traffic badhti hai aur page rank , Search result me help milati hai.
- Premium template responsive , mobile friendly hota hai. SEo ke Liye ye behtar hai. Aap mobile traffic bhi pa sakte hai.
- SEO optimized template hone ki vajah se blog post ko easily search engine me submit karke traffic lata hai.
- premium blog template me sabhi gadget add kye hote hai. aapko isake liye coding nahi karni padegi.
- footer credit link aap apane hisab se bana kar add kar sakte hai. aapko template owner ki link nahi rakhni padegi.
- koi corrupt file ya molware problem premium template me nahi aata, nahi wo spam traffic ya blog ko redirect karne wali links hoti hai.
- blog ka look professional , website jaisa lagata hai.
Compare free vs premium bloogger template :
aapne samaj liya hoga ki free vs premium blogger template me kya difference hai. aap sochte honge ki 80% blog free blogger template use kar rahe hai, usako koi problem nahi aati hogi. ? sach ye hi ki usaka blog search rank me nahi aata hai , traffic nahi badhata hai, agar ye online kamai kar rahe hai to earning bhi achhi nahi hoti hai. kai blogger free template use karke bhi achhi kamai kar rahe hai to codding (HTML and CSS ) ki knowledge hoti hai aur wo corrupt code ko remove kar dete hai. old version me bhi extra codding karke ise latest bana lete hai. agar aap chahte hai ki aap ka blogging professional honewala hai to aap premum blogger template use kare. isake bina aap aage nahi badh payenge. agar hobbys ke liye part time blogging kar rahe hai to premium template me paise kharch karne ki koi jarurat nahi hai. suru me aap blogging shikh rahe hai to bi free template use kare.
agar aapko saval hota hai ki mera template kaisa hai to batadu ki mai bhi free blogger template use kar raha hu. maine code – html me kuch change kiya hai. bad me ye blog/ website wordpress me shift karni hai to wordpress ke liye premium theme leni hai isaliye ab free template hi use kar raha hu.
kaisa laga ye article hame bataye. agar koi saval hai to comment me hame bata sakte hai, ham aapki help kareng. post ko share kare. useful latest article ke liye hamse nata banaye rakhe.
Thank bro good information
agar free template rahete hua me ak go daddy ka domain khrid lu to free template me kya change hoga ya bohi rahega bhai
raj Kumar ji, Domain name aur Template ka Koi Conection nahi hota hai.
mere ko site banani he mere pass 800 page hey..
me konsa templet use kru free nd premium ???
aap batayo me konsi site pe download kru..
Dharmesh ji, abhi aap Free Blogger Template Use Karo.
Ha free me kar raha hu….
ye 800 page vali template choose karina he…abhi ye suru nahi kiya.
Niche url check karke batao ke ye google adsense se approvel hogi….
Yes, Download and install this Template.
hiiiiii…..
Mene soro template purchase kiya he…aur google adsense ke liye privacy policy & term and condition bi purchase kar ni padegi………ke free generate karsakte he…
good, aap ko adsense ke liye kuchh bhi purchase nahi karna hai.
sora template purchase ki he usme author aur footer link nahi he. edit karne ki jaga batao…
aur premium blogger template me kese add karu author aur footer link………
Bro, Blogger template me widget ke siva kuchh bhi Add karne ke Liye aapko HTML me jana padega. footer me search kark pata karo.
ok thanks…….
blogger me ye code edit Karna jaruri he…
1. Custom Page Not Found ….
2 Custom Redirects …..
mere blog me koi error nahi… custom page not found and custem redirection to blog me koi eroor so nahi to be ye edite karna hoga…
Nahi Agar Koi Link Redirect Nahi karni hai to Jaruri Nahi Hai.
8 post mane likhe he biji sari post likh me time lage to kya me 8 post like he to google webmaster me add kar sakta hu…koi problem nai ayega ne…
na google search Console se koi problem nahi hai. aap jaise post Publish karte rahenge automatically submit ho jayega.
hiiiiiii……bro……..
google search engine me blogger site submit ki 3 din ho gayi abhi pending bata rahi he….Please response…
Kya Aapne Google se verification code blog me lagaya hai ya nahi ? check kare. jyada jankari ke liye ye padhe : blog ko google search console me kaise add kare ?
7 post to submitted ho gaye lekin 2 page nahi submit huva.
google me new blog post crowl – index hone me time lagta ai. fir bhi app ye padhe : blog post ko turant search me kaise laye ?
page 2 likhe he vo submit nahi huva… google webmaster me total 9 submite ke jaga 7 dika rahe he…
Agar aap Blogspot.com use kar rahe hai to automatically submit ho jayega. na ho to Aap Crawl > Fetch as Google Option ka Use kare.
Bro………….
Google webmaster me Crawl Errors ye m/?m=1 aa raha he……. kya karu……….
is link – url ko submit agr open ho raha hai to submit kar dijiye. aur dusari bar m=1 wala url shre na kare , submit na kare.
but bro………ye link open to ho raha but blank he…. ye page kuch writing nahi he only black page ye dekho…
ha maine dekha hai. ise poat me ho ya fir page me ho to delete kar do.
blogger and Domain dono ka 28 day ho gaya he ab me google ad sense se approval karsakta hu…
lekin Pahele blogger se shikh raha tha tam 2 gmail id google adsense se connect nahi huva disapproval ho gaya tha 2 gmail id bigad gayi ti………mane new gmail id banaya he ye id to disaproval nahi hoga ne. ye 2 gmail id bigade use vajase.
Aap Ye Article Padh Le : Isame Adsense All information Di Hai. : Adsense Saval Ke Javab
bro….ek bar mari site pe visite kijiye aur 2 aur 3 post check kar batao ye sahi he na… koi problem to nahine ye site pe….
Aapke Blog ka Link Add Karo. comment ke sath.
Sorry bro……… http://www.ptcproengineer.com
maine check kiya .koi problem nahi hai.
Aap Gujarat se hai ?
ha bro Ahmedabad se hu….
lekin aap saurastra se hai na ?
yes bro………..aap ko kese pata chala….
surname se . contect me : 9998447938 whatsapp
sir I would like to joint