Jab se Internet ne Apane life me dastak di hai , mano Duniya hi change ho rahi hai aisa lagata hai. ab sabkuchh online hone laga hai. online recharge karna ho , kisi chij ko online kharidana ho, shopping karna, mony transfer karna ye sab to ab itane simple ho gaye hai ki ab to har koi isaka istemal karne laga hai.kai android mobile application hai jisase hamara kam easy ho gaya hai. paytm , freecharge, amazon, sbi bank freedom, flipcart etc. mobileb applicaotion aur website hai jo hame in sab servises provide karti hai. aaj ham paytm se recharge , bill payment kaise kar sakte hai isaki bat karenge.

paytm kya hai ?
Paytm india ka sabase bada Mobile Commerce Platform hai, jisane shuru me Mobile paytm se Recharge and utility bill payment online karne ki suvidha di thi aur ab paytm ne apane constumers ko pura market plesh diya hai jisase ham online shoppings kar sakate hai, vo bhi pc ke sath mobile app se bhi. Paytm per month minimum 10 Million orders aate hai. Paytm ko One97 Communications compeny chala rahi hai.
paytm se ham kya kya kar sakte hai ?
- mobile recharge aur bill payment
- utility bill payment
- DTH recharge aur bill payment
- Data Card recharge and bill payment
- landline bill payment
- Electricity bill payment
- Gas bill payment
- Education fee payment
- Financial Services
- metro card recharge
- bus ticket booking
- Water Park booking
- hotel booking
- Full Market Place with Fashion and Electronics and much more.
paytm se online kaise kamaye ?
ye sab services pane ke sath ham paytm se online kamai bhi kar sakte hai. paytm apane costumer ko in sabhi servisec ka istemal karte ke sath sath bahot achha Discount, Cash Back deta hai, hamare paiso ka bachav hota hai. example : man lijiye hame apane mobile me 450 rs ka internet plan karvana hai to ham kisi recharge shop se 450 rs dekar recharge karvate hai, agar ham ye hi paytm se recharge karte hai to hame promo code milega . is promo code ka istemal ham recharge karvate vakt karte hai to hame minimum rs 50 ka cash back milega. yani hame rs 50 wapas mil jayenge. matlab ye hua ki hamara rs. 450 ka recharge 400 rs me ho gaya, hame rs 50 ka benefits mila. isi tarah ham agar paytm ke jyada kamai karna chahte hain to hame jyada paytm se recharge karvana padega. aap chahe to apne friends ka bhi recharge karke kamai kar sakte hai. bill payment kar sakte hai. agar aapne 1 din me rs 3000 ka recharge, bill payment kiya hai to aap 1 din me minimum rs, 300 ki kamai ghar baithe kar sakte hai.
Paytm account kaise banaye ?
ye sab product – kamai – recharge karne ke liye aapke pas paytm ka account hona jaruri hai. paytm account banane ke liye aapke pas 1. email address 2. bank account. 3. credit -debit card 4. smartphone ya computer hona jaruri hai.
Step 1 : 1, sabase pahle Paytm.com Ko open kare. ya fir paytm android application Download – install karke open kare.
2. usake bad sign up click kare.

Step 2 : sign up pe click karne pe naya popup page open honga. ab aapko isame aapki sahi – sabhi details add karni hai,
1. apana mobile number add kare.
2. email address dale.( email account banane ka tarika )
3. paytm account open karke ke liye password pasand karke add kare.
4. Create your Paytm Wallet click kare.
- kisi bhi mobile number ka name , address, location kaise pata kare ?
- mobile ki battery life badhane ki application
Step 3 : ab ek new window open ho gai hongi , isame bhi kuchh detaile aapko add karni hai.

1. aapne jo bhi mobile number add kiya tha usi pe OTP Code aaya honga ,ise add kare.
2. apana first name dale.
3. second name likhe.
4. Male ya Female select kare.
5, Create your Paytm Wallet pe click kare.
Step 4 : ab aapka paytm account ban gaya hai. lekin abhi ise verify karna baki hai. apani profile ko bhi ab aap add kar sakte hai.
1. Personal Info pe click kare.
2. Verify Email pe click kare.
ab aapke email account me ek msg send ho chuka hai.
3. apana email account open kare.
4. mail inbox me se paytm welcome mail aaya honga, ise open kare.
5. mail open karne ke bad Click Here pe click kare aur account ko verify kar le.
Paytm se Recharge (mobile) kaise kare ?
Aapka paytm account ban gaya hai to ab aap online mobile paytm se recharge kar sakte hai.Account banane Ke Baad, Recharge Karne Ke Liye
- paytm ko log in kare. paytm me sabse pahle recharge ka hi option open hota hai.

2. Ab Yahan Apna Mobile No. Operator Name Jaise Airtel, Idea, Circle Jaise Delhi, Mumbai, Aur Kitne Ka Recharge Karna Hai Wo Dele, Sab Kuch Sahi Sahi Dalne Ke Baad Proceed Par Click Kare.
3. agale step me paytm ka promo code add karna hai. Appy pe click kare. ( paytm aapko promocode deta hai. ise add karne pe aapko kuchh benefits milega.)
4. promo code add karne ke bad Proceed to Pay pe click kare.
5. ab naya page open honga. isame aapko payment method select karna hai.
Aapse Pucha Jayega Ki Aapko Paisa Payment Kaise Karna hai, Jaise –
-Debit Card ( Yani Aapke Bank Ka Card Jisse Aap Paise Nikalte hai)
-Credit Card (Jo Bank Apne Apne Khas Customer Ko Issue karti hai)
-Net Banking
-ATM Card
-IMPS ke option payment karne ke liye avaleble hai. aap jaise payment karna chahte hai usi pe click kare. ham aapko debit card payment option ke bare me bata rahe hai.
- online video calling karne ke best 5 android application
- mobile blog kaise banaye ? online kamai ke liye ?

Jyadatar log Payment Ke Liye Debit Card use karte hai, Kyuki Yah Ek aasaan Tarika hai. Aur Jiske Paas Bank Account hoga uske Paas ATM Card To Hoga hi. Apne Debit Card Se payment Karne Ke Liye Aapko Kuch bato Ka gyan Hona Chahiye, Jaise –
1.CARD No – Jo Ki Card Ke Upar 16 Digit ki Number Hoti hai
2.Expiry Date – Yah Bhi Card Me Hi Print Hoti hai
3. CVV Ya CVC – Yah Card Ke Back Side Me 3 Digit Ka No Hota Hai. ye sab aap images me bhi dekh sakte hai.

is debit card me di details aapko add karni hai.
4. debit card ki details add karne ke bad Proceed Par Click Kare.
5. Ab Aapke Bank Ka Page Khulega, Jaise Mera xyz Ka Account hai, to Mai xyz Ke Page Par Pahuch Gya.
Ab Yahan Secure Code Dalna Hai (Jo Aapne First Time Online Transaction Ke Liye Use Kiya tha)
Agar Aap Apne Debit Card Ka first time Online Transaction Kar Rahe Hai, to Aapko new Secure Code set Karna hoga.
Dhyan Rahe Yahan Aap Apne ATM Ka PIN mat Dal Dena, Nahi to Card block Ho Jayega.
6. Ab Secure Code Dalna Ke Baad Submit Par Click Kare.
Ab Agle Screen Me Aap Dekh Payenge, ki Aapka Recharge Successful Ho Gya hai.
ab aapko online mobile recharge ( paytm se recharge ) ho gaya hai. isake liye aapko email, mobile msg se bhi bataya jayega.
Paytm se Bill Payment – shoppings kaise kare ?
Aapka paytm account ban gaya hai to aap hamne pahle bataye hai wo sab bill payment aap online kar sakte hai. koi bhi bill payment karne ke liye aapko jyada kuchh karna nahi hai. jis chij ke liye bill payment karna chahte hai usi pe click kare. bill payment ke bare me details add kare. payment method select kare. aur payment ho jayega.
paytm kuchh product ki online shoppings bhi karva raha hai. aapko jo chij chahiye ise select kare. payment method ko follow kare. payment kare. aapki chij – product aap ko online mil jayegi. isake bare me jyada details mai ek naye article me denewala hu.
friends aapko ye paytm se recharge , account banane ka article kaisa laga hame bataye jarur . agar koi saval hai to commet se bataye jarur.
ekdum saral bhasama
sikhvadi didhu
je kib vaykti aasanithi sikhi sake che good
punjab eletricity bill kaise pay kre paytm me option nahi hai
Amrish ji, aapne sahi samja hai. pytm ne kuchh option hata diye hai.
achi tricks hai.
Aapke Bank Ka Page Khulega, Jaise Mera xyz Ka Account hai, to Mai xyz Ke Page Par Pahuch Gya.
Ab Yahan Secure Code Dalna Hai (Jo Aapne First Time Online Transaction Ke Liye Use Kiya tha)
Agar Aap Apne Debit Card Ka first time Online Transaction Kar Rahe Hai, to Aapko new Secure Code set Karna hoga.
Dhyan Rahe Yahan Aap Apne ATM Ka PIN mat Dal Dena, Nahi to Card block Ho Jayega. Sir baki ka samjh me aa gya pr yaha se nhi aaya ye secure code kya h atm ka pin password ko kahte h na jo 4 digite ka hota h …..
Sir jaldi bataye plz..
Bro. Ye koi bhi online transaction ke dauran bank aapke registered mobile number se sms se aata hai. One time password ( otp) bhi kahte hai.
Main patym I’d bana ke jab log out karta hu to log out ho jata hai par fir se log in karta hu to nahi hota please aap mujhe bataye
Bishnu Ji, aap jab log inhote hai tab password save kar dijiye. bar bar login nahi hona padega. agar aap sim card change karte hai, ya fir clear data karte hai tab ye problrm aati hai.
Sir,
Mera ek number hai us pe account ban gaya hai or us account ko mujhe nahi pata,
Lekin main jab new account bana raha hu to mobile number is already registered bata raha sir main janna chahta hu isko wahi mobile number ko Kaise account banaya jayega please help me sir
Aapne pahle pytm me ekbar account bana liya hai to wo hi account aap use karo. aapne jis email address ko use kiya ho ise open karo. isme account details hogi.
Sir mai mobile recharge kar rha tha lekin ye to ATM pin mang rha h kya karu
pahle check kare. apake paytm wallet mai paise hai. ? nahi hai to pahle add kar le. aur hai fir bhi ye problem aa rahi hai to Use Paytm Wallet Ka Option Hoga ise tick kar dijiye.
Agar mene PAYTM Se bill payment karne se hame kiya labh hoga
Aap Ye Padhe : paytm se paise kaise kamay?
Kya Paytm Se Paise Kamaye Ja Sakate Hai ? kaise ? aur Paytm Bank Kya Hai. Isaki jankari Chahiye.
Yes, Paytm promocode Aapko Cash backDe Raha hai Isase Fayada Hota Hai. Ye Padhe : Paytm se Paise Kamane Ke Tarike
Paytm Bank apane Kisi Bank Jaisa Hi hai. Lekin Isaka Plateform Online Hai. Aap Isame account Open Karva Sakte hai.
Paytm shopping Marne me bad debit card se chhah bar payment kiya par confirm nahi hua kya mega order cancel ho sakta hai
Paytm Customer Care me Contact Karo. agar Payment Nahi hua Hai to Cancel hi samjo.
Sir paytmse transaction krne k liye debit card se mob no. Add ho na chahiye kya yadi nhi hai add to bina add kre transaction nhi hoga kya
Debit Card se Online Payment Karne ke liye Mobile Number Par OTP Aata Hai to Bina OTP transaction Nahi Ho Payega.